Monday, April 17, 2017

Sansaar Se Bhaage Phirtey Ho

LogoN ne ibaadat ko din-tariikh aur rituals mein quaid kar ke rakh diya hai
Mahurat dekh kar , chaaNd dekh kar , ghadi dekh kar "Neki" kartey hain

Aur ye neki Kya hai ?
Namaaz
Roza
Hajj
Zakaat etc etc
Har ritual ka reason bhi hai ...
Scientific significance bhi hai ...
Aur to aur Health benefit hain
If you didn't know guys Namaaz and Yoga are very similar
Without reason and without faaeda to hum ibaadat bhi nahi kartey ....

After all we are logical mature proud believers of our respective faiths that were thrust upon us from the time we were born !!!

Hum bhi huzoor ... Hum bhi ...
Another face in the crowd ...
Hum bhi ...
Sajdey mein jhukey to thay
AaNkhein bandd kar ke haath bhi jodey thay ...
Kuchh rati-rataayi duaaeiN padhi thiiN
Lekin dil aur dimaag kahiiN aur thay

Abhi bazaar janaa hai, sabzi-chicken-fruit le kar anaa hai, doodh bhi shaaed khatam ho gayaa ho
Wo bhi list mein add karna hai
Cooking start karney se pehlay thodi si chaai jo piini hai ...

Aur haan! Facebook par status update and going through Whatsapp msgs ...
Ye bhi to karna hai ... !!!
Kal kisi ki birthday thi school waaley group par ... sara Whatsapp BD wishes se bhara padaa hai
Wo sab khaali karnaa hai ...

Hamaari ibaadat to bhai aisi hi hai ... God ji ki di hui ne'matoN mein Mashaallah dhyaan lagaa rehta hai
Wo Maalik apni ne'mateiN aur bhi kasrat se ataa karta rahey aur hum yuun hi uss ka shukr adaa kartey raheiN

Someone sent a msg saying Namaaz mein Allah ke khayaal ke alawaa koi aur khayaal ayaa to ibaadat bekaar ...

Khuda ka khayaal kya hotaa hai
Kaisa hota hai koi bataaye ...

Jo Sansaar Khuda ne banayaa hai, jo ne'mateiN uss ne ataa kari hain, unn hi mein to hum uss Maalik ki presence ko mehsoos kareiNgey na ...
Insaan iss Sansaar-roopi Gorakhdhande ka ek hissa hai
Iss gorakhdhande se alag ho kar Insaan sachchi ibaadat kaise kar sakta hai ...

Sahir had so rightly said:
"Iss Lok ko bhi apna naa sakey
Uss Lok mein bhi pachchtaaogey"

2 comments:

Unknown said...

बहुत ख़ूब ।

Unknown said...

Excellent piece..Kitna sach laga..Aisa hi hota hai..Sab jaante hain par maante nahi